Saturday, April 10, 2010

ummeedein...

Kya bataayein,kis kis mukaam se ghamzada hokar hum aaye hain...
jo lamhe dil se lagaaye the humne, ashqoan ki aag ne jalaayein hain...
jis dar pe sawali ban pahunche the hum,usi dar se thokar kha kar aaye hain....
kuch ruswaayiyaan,kuch beparwahiyaan,yahi to ab humsaaye hain...
kehte kehte halak mein raegistaan utar gaya,lafz bhi kaise katraaye hain...
ab zamaane se kya umeed rakhein,usine jab zulm dhaayein hain.......

2 comments:

  1. Wonderful poetry.

    Kya hai mausam ka takaza
    dekha nahee jaata
    Paar utarna ho dariya,
    to waqt dekha nahee jaata.

    ReplyDelete